Romantic Love Poems in Urdu Language for Partner

Here you can read poetries and quotations from thousands of those contributed by the visitors of this website.

Largest Collection of urdu poetry, Love urdu poetry, Funny urdu Poetry, Sad urdu Poetry, Romantic urdu poetry.Pakistani urdu poetry to indian urdu poetry.

1. Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din

Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab
Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din

Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun
Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din

Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din

Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din.

2. Khuli Aankh Mein Sapna Jhaanky

Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai
Wo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

Teri Chahat Ke Bheege Junglon Mein
Mera Tan, More Ban Kar Naachta Hai

Mujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na Samjhe
Wo Mere Sab Hawale Jaanta Hai

Main Uski Dastaras Mein Hon, Magar Wo
Mujhe Meri Raza Se Maangta Hai

Kisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua Dil
Bahane Se Mujhe Bhi Taalta Hai

Sarak Ko Chore Kar Chalna Parega
Ke Mere Ghar Ka Kaccha Raasta Hai.

3. Urdu Poetry, Urdu Poem, Hindi Poem

Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan.

Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai.

Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai.

Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya.

composed by..Dr.kumar vishwas
a good poet,,,,I M VERY LIKE THISSSS.

4. Eid Poetry, Urdu Eid Poem, Urdu Eid Poetry

And Yes Eid Mubarak To All My friends, well Wishers And Blog Readers

To Arz Hain,

Jab Wo Nikle Ban Than Ke Eid Ke Din

Jab Wo Nikle Ban Than Ke Edd Ke Din

Dhakanain Meri Mere Dost Rahe The Gin

Aur Mere Dil Se Aa Rahi thi Sada

Kash Kar Loon Apne App Se Main Ye Wada

Na Dhondon Ga Agle Saal Se Chand Ko Falak Pe

Mana Loonga Eid Appki Sirf Ek Jhalak Se.

5. Urdu Romantic Poetry – Urdu Love Poetry – Romance Poetry

khusi meri cheen lee usne,
muskurane bhula diya..
gam de diya mujhe,
zindgi bhar rulane ke liye……..

kaise jeete wo bichad ke log
ye humne jana hai..
kaise zinda hai wo log ye hamne jana hai..
hamne to apne katil ko dekha tak nhi……..

koi kisi se juda ho khuda na kare,
kisi ka pyar bewafa wo khuda na kare,
zuda ho jaye is jism se jaan
yaar ko khuda kabhi zuda na kare.

6. Romantic Urdu Poetry – Urdu Romantic Poetry – Romantic Urdu Poems

1-Ishq ki gehriyon ko tum kya samjhoge ye zalim
ye wo dariya hai jisme sahil bhi doob jate hai.

2-Mehbooba:-Tumne kaha tha hum milege har gali har kuche har,chaurahe pe
mere janaje mein sab the magar tum na the.

Aashique:-Haan mane kaha tha hum milege har gali har kuche har chaurahe pe palat ke
dekha to hota janeja tere jannaje ke peche mera janaja tha.

3-Rote hue aankho mei bhi intezar hota hai,na chahte hue bhi kissise pyar hota gai,
kyu dekhti hai aankhe vo sapne, jinke tutne par bhi unke sach hone ka intezar hota
hai.

7. Khamosh Ho Kyon

Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Dete

Vahashat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Dete

Ik Ye Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ai Chaaraagaro Dard Badhaa Kyuun Nahiin Dete

Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Dete

Rahazan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhii
Rahabar Ho To Manzil Kaa Pataa Kyuun Nahiin Dete

Kyaa Biit Gaii Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Dete

8. Apne Bahon Mai Lo Dunia Se Bekhbr Kr Do

Meri Aankhon Mai Utra Aao,
Inhe Samundar kr do,

kuch Dair hi sahi Muhabat ki nzr kr do,
Tot k milo k armaan na reh jay koi,

Yun Muhabat k her lamhe ko Amar kr do,
ham pay na aay koi Qayamat sa Waqat,

Bari mushkil hai judai,
isay Mukhtasir kr do,

Jin k nor se mil jay benai Humain bhi,
Apne khawabon ko Meri Aankhon ki Nzr kr do,

Duniya ki talab nhi mgr ye Hasrat hia hamari,
Apne Bahon mai lo Dunia se bekhbr kr do.

9. Huge Love and Strong Feelings

Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna

Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna.

10. Life Partner With Power of Love

hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein
chale aaye the tum
khushiyon ki saugaat aur pyaar ke rang
sang laaye the tum

ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
chahat ka ehsaas liye sukoon ban kar
dil mein samaye the tum

khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
ghum ke badal gehre hain
jabse juda hue ho tum

kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum

dil ki bebasi kaise kahun
aankhon se aansoo banke behte ho tum
tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum.

You may also like...